sabse pahle to samay dene ke liye bahut bahut dhanyawaad.
aapne sahi kahaa ki mujhe waapas apne paas bulana v guru ki hi daya hai. waapas aane ke baad muje ehsaas hua ki mai pichhle kuchh mahine kahaan kho gayi thi.
kripya ek baat aur bataaiye… guru se koi laukik daya maangna humara adhikaar to hai na? swaarth to nahi? koi badi mahattwakanchha nahi balki ek genuine jaruri laukik cheej ki daya maangna humaara adhikaar hai na? mera man hota hai ki guru ko pakad ke roun. abhi guru ke siwa koi mere paas nahi hai jo mujhe samjhe. mai kaise guru ki daya paane ke laayak banu?
